![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEg_i5UfQY1gUMSFRsDONHJcSf9NxOBVCcbR_PbsRoTPeG-OSQOURm79kF04CawAA3tOlVdvnTzqVk-XrZyPGTKTH6AJod_3ZBSgLxh6zPQJX1vqpczL0d-RT5yDiWGCRTsZkcGKEhwiRwm9wNnhPEshDC1KQDT2xpJ4AksknULYKAj-smWGTvCT24JNatA9/s16000-rw/fotor-ai-20241126114957.jpg)
Hai meri bhi ek dost, jo dost se badh kar hai. Per dekhne waale hamein dost nahi samajhte, unhe to yahi lagta hai ki inka zaroor koi chakkar hai. Rishta hamaara bhi Tom & Jerry se milta jhulta hi hai. Hamaara jhagda bhi kisi ladaayi jaisa lagta hi nahi hai. Mere udaas hone pe muskurahat ki wajah meri wahi banti hai. Uski zindagi ke kissey kabhi khatam nahi hote, woh bolna shuru kare to rukti hi nahi hai. Dikhaati nahi per mujhse zyaada parwaah karti hai woh meri. Khushi ho ya takleef ho, magar mujhe kabhi akela padne nahi deti. Jo log mujhe na-pasand hai na, to woh apne aap hi usey bhi na-pasand ho jaate hai. Aankhon ke ishaare se hi saari baat samajh aa jaati hai woh meri. Ek doosre ko hum iss hadd tak jaante hai. Woh bhi agar rooth jaaye kabhi, to usey manaana aata hai mujhe. Gussa bhi uske naak pe hi rehta hai, jisey mazaak main badalna aata hai mujhe.
To hai ek meri bhi dost. Jo dost se badh kar hai. Per dekhne waalo ko to yahi lagta hai ki inka zaroor koi chakkar hai.
-M. N².